na sayyad mein na mirza mein na ansari mein rakkhi hai

By mazhar-mujahidiJanuary 18, 2022
na sayyad mein na mirza mein na ansari mein rakkhi hai
bashar ki shakhsiyat us ki samajhdari mein rakkhi hai
main ghar aa kar zamane ki thakan sab bhul jata hun
ajab rahat meri bachchi ki kilkari mein rakkhi hai


kabhi ghairon pe ungli mat utha ai rahbaran-e-mulk
tabahi desh ki apnon ki ghaddari mein rakkhi hai
gharibi ka gila karke tu apni qadr mat khona
baqa-e-azmat-e-nadar khuddari mein rakkhi hai


badan jal jaega 'mazhar' inhen chhune ki hasrat mein
ghazab ki aag in phulon ki chingari mein rakhi hai
29262 viewsghazalEnglish