na shab-o-roz hi badle hain na haal achchha hai

na shab-o-roz hi badle hain na haal achchha hai
kis barahman ne kaha tha ki ye sal achchha hai

hum ki donon ke giraftar rahe jaante hain
dam-e-duniya se kahin zulf ka jal achchha hai

main ne puchha tha ki aakhir ye taghaful kab tak
muskuraate hue bole ki sawal achchha hai

lazzaten qurb-o-judai ki hain apni apni
mustaqil hijr hi achchha na visal achchha hai

rahrawan-e-rah-eulfat ka muqaddar malum
in ka aaghaz hi achchha na maal achchha hai

dosti apni jagah par ye haqiqat hai 'faraaz'
teri ghazlon se kahin tera ghazal achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close