na socha ye bhi qatil ne ki us bewa ka kya hoga
By badr-shamsiOctober 8, 2023
na socha ye bhi qatil ne ki us bewa ka kya hoga
jise ye aas thi ek din mera beta bada hoga
agarche dekhne mein mere qad se badh gaya hoga
mera saya magar mere hi qadmon par gira hoga
chalo chal kar jawani ki kunwari lash par ro len
kisi muflis ki beti ka janaza uth raha hoga
salibon ke safar mein hai tabassum jis ke honton par
wo insan intiha-e-gham se pagal ho chuka hoga
wo ho sakta hai qatil kab yaqin aaega logon ko
hamara khun us ke hath mein rang-e-hina hoga
main jismon ki numaish-gah mein kya dekhne jaun
ki us ne har badan par apna chehra rakh diya hoga
bahut hassas tha ek shakhs jis ne khud-kushi kar li
kisi akhbar mein shayad ye tum ne bhi padha hoga
guzari pattharon ke shahr mein kyon zindagi us ne
ye socho kis qadar majbur aakhir aaina hoga
diye rakhte chalo ai 'badr' palkon ki munderon par
andheri raat mein aankhon ka darwaza khula hoga

44523 viewsghazal • English