na sunti hai na kahna chahti hai

By manzoor-hashmiNovember 5, 2020
na sunti hai na kahna chahti hai
hawa ek raaz rahna chahti hai
na jaane kya samai hai ki ab ki
nadi har samt bahna chahti hai


sulagti rah bhi wahshat ne chun li
safar bhi pa-barahna chahti hai
talluq ki ajab diwangi hai
ab us ke dukh bhi sahna chahti hai


ujale ki duaon ki chamak bhi
charagh-e-shab mein rahna chahti hai
bhanwar mein aandhiyon mein baadban mein
hawa masruf rahna chahti hai


92460 viewsghazalEnglish