na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai teri jalwa-gah-e-khayal mein bhi sukut hi ka payam hai abhi husn mahw-e-khiram hai abhi shokh jalwa-e-am hai kabhi khalwaton mein bhi ram hai ki takhaiyyulat ka dam hai na wo aarzuen zaban zaban na wo hasraten hain nazar nazar teri anjuman na wo anjuman na wo shauq hi ka maqam hai na wo tur-e-naz ki bijliyan na kalim-e-ishq ki shokhiyan na wo raunaqen na wo ishraten na wo subh hai na wo sham hai jo sharab-e-husn-o-jamal mein bhi hain bul-hawas ki milawaten dil-e-mai-parast hai khun-fishan ki ye mai-kade ka nizam hai dam-e-kaenat fughan-fughan gham-e-mumkinat hai jaan-sitan ye tasawwuraat dhuan-dhuan ki adam wajud ka nam hai hai nishan-e-zakhm subu-subu yahan sagharon mein lahu-lahu ye buka ye nala ye hichkiyan ye fughan-e-shisha-o-jam hai meri aah raunaq-e-anjuman hai sada-e-dard sukhan-sukhan teri pardagi ka ye bankpan kahan jalwa hai kahan baam hai hai talash-e-husn makan-makan wahi justuju hai zaman-zaman ye fareb 'akhtar'-e-khush-guman dil-e-mubtala ka hi kaam hai