na tir hai na nishana magar duhai hai munafiqon se hamari ajab ladai hai agar udasi bulae to dil se jaunga purana rishta nibhane mein kya burai hai mujhe pukara hai jadugaron ki ladki ne use batao pari mujhe se milne aai hai lahu ragon se nikala labon pe la rakkha gharib-e-shahr ne ye dastan sunai hai ye dil ki chhat hai yahan har taraf dhundalka hai jala sako to mohabbat diya-salai hai