na uski yaad jati hai na us ka gham nikalta hai
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
na us ki yaad jati hai na us ka gham nikalta hai
kuchh aisi dil ki haalat hai ki mera dam nikalta hai
uchhal kar hamsari ki koshishen karte hain wo lekin
hamare qad se un ka qad hamesha kam nikalta hai
yahan chehre hain yaron ke magar dil dushmanon ke hain
yahan amrit ke pyale se bhi aksar sam nikalta hai
teri chaaragari ki chaaragar hajat nahin hum ko
hamare zakhm se hi zakhm ka marham nikalta hai
badan par jitne ghaw the wo sare bhar gae lekin
jo dil ke zakhm hain un se lahu paiham nikalta hai
ye missile ki duniya hai na dangal hai na ran koi
ladai ho to ab ghar se kahan rustam nikalta hai
hasin chehron ki mahfil mein dil apna le ke mat jao
chamakti dhup mein le kar koi shabnam nikalta hai

26177 viewsghazal • English