na ye mumkin ki apne dard ko tahlil kar dun
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
na ye mumkin ki apne dard ko tahlil kar dun
na ye mumkin ki us bedard ko tabdil kar dun
main aankhon mein ek aisi nind lana chahta hun
jise dekhun use ek khwab mein tabdil kar dun
ye sara shahr aap apni hawa mein hi bikhar jae
agar apni taraf se main zara si dhil kar dun
mujhe tanhai ne itna ziyaada kar diya hai
jahan chahun wahin ek anjuman tashkil kar dun
mere bas mein nahin hai warna ta-roz-e-qayamat
main is duniya ke daftar mein abhi ta'til kar dun
abhi mas hi hue hain tere honthon se mere honth
ijazat ho to is ijmal ki tafsil kar dun

53248 viewsghazal • English