nadi ka aab diya hai to kuchh bahaw bhi de meri ghazal ko naya-pan bhi de rachaw bhi de chala ke sard hawa mujh ko munjamid bhi kar pighal ke phailna chahun to ek alaw bhi de ki jis ke dard ka ehsas tere jaisa ho kabhi kabhi meri fitrat ko aisa ghaw bhi de azab-e-sail-e-musalsal jo de raha hai mujhe to sath-e-ab pe chalne ko ek naw bhi de musafirat ke kai marhale tamam hue ki meri khana-badoshi ko ab padaw bhi de