nadi ka kya hai jidhar chahe us dagar jae magar ye pyas mujhe chhod de to mar jae kabhi to dil yahi uksae khamushi ke khilaf labon ka khulna hi is ko kabhi akhar jae kabhi to chal pade manzil hi raste ki tarah kabhi ye rah bhi chal chal ke phir thahar jae koi to baat hai pichhle pahar mein raaton ke ye band kamra ajab raushni se bhar jae ye tera dhyan ki sahma parinda ho koi zara si sans ki aahat bhi ho to dar jae bahut sambhaal ke darpan ana hai ye 'akhilesh' zara si chuk se aisa na ho bikhar jae