nae dariya se rishta ho gaya hai
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
nae dariya se rishta ho gaya hai
samundar aur gahra ho gaya hai
na jaane zahir-o-baatin kahan hain
mera donon se jhagda ho gaya hai
meri aankhen bhi aankhen ho gai hain
tera chehra bhi chehra ho gaya hai
kai diwaren nichi rah gai hain
koi minar uncha ho gaya hai
main ab barbaad ho sakta hun khud bhi
tumhaara kaam pura ho gaya hai
zara ghaalib se jhikjhik ho gai thi
taraf-daron ka hamla ho gaya hai
wo ashkon se chukana pad raha hai
manazir ka jo qarza ho gaya hai
hansi mein dam nahin hai chaaragar ki
koi bimar achchha ho gaya hai
samundar aur gahra ho gaya hai
na jaane zahir-o-baatin kahan hain
mera donon se jhagda ho gaya hai
meri aankhen bhi aankhen ho gai hain
tera chehra bhi chehra ho gaya hai
kai diwaren nichi rah gai hain
koi minar uncha ho gaya hai
main ab barbaad ho sakta hun khud bhi
tumhaara kaam pura ho gaya hai
zara ghaalib se jhikjhik ho gai thi
taraf-daron ka hamla ho gaya hai
wo ashkon se chukana pad raha hai
manazir ka jo qarza ho gaya hai
hansi mein dam nahin hai chaaragar ki
koi bimar achchha ho gaya hai
75409 viewsghazal • English