nae kapde badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain koi chhod gaya ye shahr to kya tere chahne wale aur bhi hain kai palken hain aur ped kai mahfuz hai thandak jin ki abhi kahin dur na ja mat khak uda tere chahne wale aur bhi hain kahti hai ye sham ki narm hawa phir mahkegi is ghar ki faza naya kamra saja nai shama jala tere chahne wale aur bhi hain kai phulon jaise log bhi hain inhi aise-waise logon mein tu ghairon ke mat naz utha tere chahne wale aur bhi hain bechain hai kyun ai 'nasir' tu behaal hai kis ki khatir tu palken to utha chehra to dikha tere chahne wale aur bhi hain