nae KHayalon se rabta kar nai zaminon pe shairi kar

By shahnawaz-ansariMarch 23, 2021
nae khayalon se rabta kar nai zaminon pe shairi kar
jo ishq karti hain shairi se ab un hasinon pe shairi kar
siyah raaten udas jugnu aur us pe suraj ki be-niyazi
ab ek misra tarash aise tu aaj tinon pe shairi kar


samundaron ke wo shahzade tamam lahron se aashna the
jinhon ne dariya ke panw bandhe the un safinon pe shairi kar
tu nukta-chinon ki baat mat kar ye apni zid par ade rahenge
jo log pagal hain mere jaise unhin zahinon pe shairi kar


meri buzurgon se dosti hai so aastanon pe likh raha hun
tu apne yaron se bad-guman hai to aastinon pe shairi kar
jo ghar basane ki aarzu hai to apne ghar se nikal khud ko
abhi makanon pe dal mitti abhi makinon pe shairi kar


78534 viewsghazalEnglish