nae nae jo parinde hain sab uDan mein hain
By sumaira-khalidFebruary 29, 2024
nae nae jo parinde hain sab udan mein hain
khirad ke mare hue ab talak guman mein hain
abhi sanbhaal ke rakkhe hain tir tarkash mein
so mumkinat abhi tak meri kaman mein hain
mujhe hai pas-e-wafa warna un se kah dalun
huzur jhol bahut aap ke bayan mein hain
abhi bhi khana-e-dil mein hain un ki aawazen
makin chale gae yaaden usi makan mein hain
wafa-paraston ki qismat mein saya na bhi sahi
magar ye kya ki daghabaz saeban mein hain
zaban ko si ke rakho ya katao sar apne
yahan khamosh hain jo bas wahi aman mein hain
har ek sans pe tawan hai yahan lekin
hazar marne ke hile tere jahan mein hain

77455 viewsghazal • English