nae sire se koi safar aaghaz nahin karta jaane kyun ab dil mera parwaz nahin karta kitni buri aadat hai main khamosh hi rahta hun jab tak mujh se koi sukhan aaghaz nahin karta kaise zinda rahta hun main zahr ko pi kar ab diwar-o-dar ko bhi to hamraaz nahin karta taza hawa ke jhonke aksar aate rahte hain aakhir kyun main apne dariche baz nahin karta jaane kaisa rag bajaana sikh liya dil ne meri sangat ab koi dam-saz nahin karta ahl-e-hunar ki aankhon mein kyun chubhta rahta hun main to apni be-hunari par naz nahin karta mujh mein kuchh hoga to duniya khud jhuk jaegi main neze par sar apna afraaz nahin karta waqt ke sare chakkar hain ye 'alam'-ji warna yahan kisi ko koi nazar-andaz nahin karta