nafrat ke andheron ko miTane ke liye aa
By arshad-minangariApril 21, 2021
nafrat ke andheron ko mitane ke liye aa
aa sham-e-mohabbat ko jalane ke liye aa
bebak hua jata hai ab dard-e-judai
ubhre hue zakhmon ko dabane ke liye aa
kab tak main sambhaalun teri yaadon ki amanat
ye bar-e-garan dil se hatane ke liye aa
yaadon ke darichon mein tera rup hai lekin
ab hijr ka ehsas bhulane ke liye aa
ehsas ke sahra ki udasi nahin jati
jharnon ki tarah git sunane ke liye aa
ek teri mohabbat ka muhafiz hai mera dil
khud apne liye mujh ko bachane ke liye aa
mujh ko to hai manzur tere pyar mein 'arshad'
amrit na sahi zahr pilane ke liye aa

85772 viewsghazal • English