nafraton ko miTa diya tu ne
By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
nafraton ko mita diya tu ne
dushmanon ko mila diya tu ne
chhod kar rah-e-'ishq mein mujh ko
rog kaisa laga diya tu ne
main to sada-mizaj hun lekin
mujh ko model bana diya tu ne
wo bhatakta nahin hai rahon mein
jis ko rasta dikha diya tu ne
thi zamane se justuju jis ki
aaj us se mila diya tu ne
us ki qismat chamak rahi hogi
jis ko apna bana diya tu ne
sari basti mein raushni ke liye
ghar hamara jala diya tu ne
tha hasin khwab meri aankhon mein
be-sabab kyon jaga diya tu ne
tujh ko khud ki khabar nahin hai abhi
kyon jahan ko bata diya tu ne
jis qalandar ki thi talash mujhe
us se 'ahmad' mila diya tu ne
dushmanon ko mila diya tu ne
chhod kar rah-e-'ishq mein mujh ko
rog kaisa laga diya tu ne
main to sada-mizaj hun lekin
mujh ko model bana diya tu ne
wo bhatakta nahin hai rahon mein
jis ko rasta dikha diya tu ne
thi zamane se justuju jis ki
aaj us se mila diya tu ne
us ki qismat chamak rahi hogi
jis ko apna bana diya tu ne
sari basti mein raushni ke liye
ghar hamara jala diya tu ne
tha hasin khwab meri aankhon mein
be-sabab kyon jaga diya tu ne
tujh ko khud ki khabar nahin hai abhi
kyon jahan ko bata diya tu ne
jis qalandar ki thi talash mujhe
us se 'ahmad' mila diya tu ne
82886 viewsghazal • English