nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
nahin ab koi khwab aisa teri surat jo dikhlae
bichhad kar tujh se kis manzil pe hum tanha chale aae
abhi tak yaad aate hain kuchh aise ajnabi chehre
jinhen dekhe koi to dekh kar takta hi rah jae
ye sach hai ek zahr-e-gham hi aaya apne hisse mein
magar ye zahr pi kar bhi na hum jine se baz aae
isi ke waste mat puchh kya qimat ada ki hai
magar hai kaun jo tute hue is dil ko apnae
isi ummid par zinda hai ye zauq-e-sukhan-goi
ki aane wali duniya shayad in she'ron ko dohrae
adhure hi sahi ye naqsh phir bhi chhode jate hain
ki is taswir mein shayad koi apna nishan pae

55535 viewsghazal • English