nahin hai koi dusra manzar chaaron or phaila hai tarik samundar chaaron or zinda hun bas ek yahi hai mera jurm log khade hain le kar patthar chaaron or kis dariya ko dhunde ye janmon ki pyas aag lagi hai mere andar chaaron or wahm o khirad ke mare hain shayad sab log dekh raha hun shishe ke ghar chaaron or chhote se aangan mein hoti hai jo baat phaila karti hai wo aksar chaaron aur apni baaton par bhi nahin aata hai yaqin ab to yahan phirte hain payambar chaaron or tanhai mein bhi sahma sahma har shakhs khauf ne phaila rakkhe hain par chaaron or