nahin hai yaad kahan aur kidhar mila tha mujhe wo bad-tamiz adab se magar mila tha mujhe wagarna main to nahin hun chhupa hua khud se mila tha jo bhi tere nam par mila tha mujhe jo kar diya hai yahi tha mere liye mumkin ki waqt bhi to bahut mukhtasar mila tha mujhe phir us ke ba'd mujhe aa gaya tha hansna bhi main ro raha tha ki jab khush-khabar mila tha mujhe mila nahin tha mujhe umr bhar wo dhundne se magar mila to sar-e-rahguzar mila tha mujhe achanak us ki nazar mujh pe pad gai thi kya wo kaam chhod ke sab daud kar mila tha mujhe 'hanif' roz-e-azal jab hunar hue taqsim to shairi hi ka shayad hunar mila tha mujhe