nahin malum paenge sukun ahl-e-jahan kab tak

By bismil-saeediOctober 28, 2020
nahin malum paenge sukun ahl-e-jahan kab tak
khuda jaane rahega is zamin par aasman kab tak
ye afsana abhi to zer-e-unwan-e-karam bhi hai
sunae jaun main un ke sitam ki dastan kab tak


qafas mein to mujhe jab tak bhi rahna ho magar yarab
tasawwur mein mere jalta rahega aashiyan kab tak
zamir aaluda-e-baatil zaban aazurda-e-na-haq
teri mahfil mein rah kar hum milaen han mein han kab tak


ghazab hai thes lagna ishq ki khuddar fitrat ko
bas ai chashm-e-karam ab iltifat-e-raegan kab tak
dil-e-mayus mein kuchh khar-e-hasrat se khatakte hain
khuda jaane rahengi rakh mein chingariyan kab tak


nahin jab pas-e-wada to mukar bhi jaoge ek din
badal jaega jab dil to na badlegi zaban kab tak
kabhi ummid ki nazron se dekh apni taraf 'bismil'
nigah-e-yas se dekhega su-e-asman kab tak


38183 viewsghazalEnglish