nahin manzil mujhe malum par chalta raha hun main

By ritesh-singh-rahilNovember 14, 2020
nahin manzil mujhe malum par chalta raha hun main
safar ke nam par khud ko faqat chhalta raha hun main
andhera jo diya tha waqt ne us ko mitane ko
laga kar aag apne aap ko jalta raha hun main


wafa jab ban gai nasur phir kyun ishq mange hai
yahi kah kar nae mahbub se talta raha hun main
koi marham nahin maujud jis se dard ye kam ho
tabhi to dard ko hi dard par malta raha hun main


mili hai sarparasti aalimon ki yan mujhe jab se
hamesha ilm pa kar phulta-phalta raha hun main
97164 viewsghazalEnglish