nahin rok sakoge jism ki in parwazon ko

By shahryarNovember 18, 2020
nahin rok sakoge jism ki in parwazon ko
badi bhul hui jo chhed diya kai sazon ko
koi naya makin nahin aaya to hairat kya
kabhi tum ne khula chhoda hi nahin darwazon ko


kabhi par bhi kar paengi sukut ke sahra ko
darpesh hai kitna aur safar aawazon ko
mujhe kuchh logon ki ruswai manzur nahin
nahin aam kiya jo main ne apne raazon ko


kahin ho na gai ho zamin parindon se khali
khule aasman par dekhta hun phir bazon ko
63578 viewsghazalEnglish