nahin saqi ka saghar ka qamar ka

By raziya-subhanNovember 14, 2020
nahin saqi ka saghar ka qamar ka
sahaara chahiye teri nazar ka
musafir kyun na rasta bhul jaen
ishaara mil gaya shams-o-qamar ka


kabhi parwaz par tha zoam hum ko
bharosa ab nahin hai baal-o-par ka
mujhe to chaak ki gardish ne dhaala
hua hai nam sara kuza-gar ka


bayan kab raushni main kar sakungi
jo qissa mukhtasar hai raat bhar ka
28206 viewsghazalEnglish