nahin tha koi sitara tere barabar bhi hua ghurub tere sath tera manzar bhi pighalte dekh rahe the zamin pe shoale ko rawan tha aankh se ashkon ka ek samundar bhi kahin wo lafz mein zinda kahin wo yaadon mein wo bujh chuka hai magar hai abhi munawwar bhi ajab ghulawaten shahd-o-namak ki nutq mein thi wahi sukhan ki tha marham bhi aur nashtar bhi munafiqon ki badi fauj us se darti thi aur us ke pas na tha koi law-lashkar bhi