nahr ki dhaaron se nikle aur nadi mein phans gae
By bilal-sabirMarch 1, 2024
nahr ki dhaaron se nikle aur nadi mein phans gae
ya'ni bach kar dosti se 'ashiqi mein phans gae
bewaqufon mein gine jate hain sada-dil yahan
kis sadi ke log hain hum kis sadi mein phans gae
gham ke tare aankh ke sayyare se tute hain aur
hum khushi pane ko duniya-e-hansi mein phans gae
hum hain wo 'ushshaq jin ke waste hai jal-e-husn
ek gali se bach gae to dusri mein phans gae
ab talak us shakhs ke das din nahin guzre ya phir
mere achchhe waqt ke purze ghadi mein phans gae
us ne meri fikr ke gul chume the ek din 'bilal'
tab se misre un labon ki tazgi mein phans gae

63455 viewsghazal • English