nai duniya nae manzar nae afkar mile sab shajar naql-e-makani ke samar-bar mile baad-e-hijrat tu hamein le ke jahan aai hai in gali-kuchon mein insanon ke shahkar mile khubsurat se kisi bar ke ek goshe mein dil ki tanhai mitane ko kai yar mile kahin kho jaane ka dukh ek haqiqat hi sahi apni pahchan ke bhi nit-nae aasar mile kab talak sar pe wirasat ki rida le ke chalen kyun na ab hum ko koi saya-e-diwar mile