nai hawaon ke hamrah chal raha hun main

By farooq-noorFebruary 6, 2024
nai hawaon ke hamrah chal raha hun main
badal raha hai zamana badal raha hun main
ye kaisi aag hai us ke badan se uthti hui
ki us ko dekh raha hun to jal raha hun main


unhen ye fikr nahin hai ki bujh rahe hain wo
unhen to khauf hai is ka ki jal raha hun main
mere 'uruj ki jis ne du'aen mangi thin
khabar karo zara us ko ki dhal raha hun main


jo mere nam se hota hai ab shikan-alud
kai baras usi mathe ka bal raha hun main
na manzilon ka pata hai na raston ka suragh
bas ek talash hai teri so chal raha hun main


azal se 'nur' hai mujh ko sukun-e-dil ki talash
aur is talash mein bas ghar badal raha hun main
46342 viewsghazalEnglish