nai mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai safar diwangi ka ishq ki manzil se aage hai mujhe kuchh der mein phir ye kinara chhod dena hai main kashti hun safar mera har ek sahil se aage hai khade hain sans roke sab tamasha dekhne wale ki ab mazlum bas kuchh hi qadam qatil se aage hai mujhe ab ruh tak ek dard sa mahsus hota hai to kya wusat mere ehsas ki is dil se aage hai mere is kar-e-be-masraf ko kya samjhegi ye duniya meri ye sai-e-la-hasil har ek hasil se aage hai ye aksar 'shad' rakhti hai mujhe khush rang lamhon se meri tanhai teri raunaq-e-mahfil se aage hai