nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai

nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai
kuchh din shahr mein ghume lekin ab ghar achchha lagta hai

milne-julne walon mein to sab hi apne jaise hain
jis se ab tak mile nahin wo akasr achchha lagta hai

mere aangan mein aae ya tere sar par chot lage
sannaton mein bolne wala patthar achchha lagta hai

chahat ho ya puja sab ke apne apne sanche hain
jo maut mein dhal jae wo paikar achchha lagta hai

hum ne bhi so kar dekha hai nae purane shahron mein
jaisa bhi hai apne ghar ka bistar achchha lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close