najm bahut mahtab bahut

By mohammad-ali-mauj-rampuriMarch 20, 2021
najm bahut mahtab bahut
aankhen hon to khwab bahut
pyar mila jab ghairon se
yaad aae ahbab bahut


mere ahd ki aankhon mein
ninden kam hain khwab bahut
koi aane wala hai
mausam hai shadab bahut


masraf ho to har lamha
zist ka hai nayab bahut
dubne walon se kah do
dariya hain payab bahut


75950 viewsghazalEnglish