nakhl-e-dua kabhi jab dil ki zamin se nikle sae bhi kuchh guman ke barg-e-yaqin se nikle nazren jamae rakhna ummid ke khandar par mumkin hai ab ke suraj us ki jabin se nikle khud se farar itna aasan bhi nahin hai sae karenge pichha koi kahin se nikle zakhmi ana ko yun main har bar chhedta hun musbat sa ek ishaara shayad kahin se nikle ungli mein jab bhi us ne angushtari ghumai kya kya hasin paikar aks-e-nagin se nikle