nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka wo bhi ek rukh hai teri anjuman-arai ka aa chala hai mujhe kuchh wada-e-farda ka yaqin dil pe ilzam na aa jae shakebai ka ab na kanton hi se kuchh lag na phulon se lagao hum ne dekha hai tamasha teri ranai ka donon aalam se guzar kar bhi zamana guzra kuchh thikana bhi hai is baadiya-paimai ka khud hi betab tajalli hai azal se koi dekhne ke liye parda hai tamannai ka lag gai bhid ye diwana jidhar se guzra ek aalam ko hai sauda tere saudai ka phir usi kafir be-mehr ke dar par 'fani' le chala shauq mujhe nasiya-farsai ka