nam-e-ashk aankhon se Dhalne laga hai
By mirza-azfariNovember 6, 2020
nam-e-ashk aankhon se dhalne laga hai
ki fawwara khun ka uchhalne laga hai
duba dil ka ghar aankh tak aan pahuncha
ab aansu ka nala ubalne laga hai
ye seb aanb shaftalu narangi kamarkha
tere bagh ka mewa palne laga hai
tumhaari miyan dekh ye phal phulari
mera tifl-e-dil to machalne laga hai
khajuren samose tale kuchh dila do
aji! ji mera un pe chalne laga hai
abhi aae kahte ho jata hun lo ji
ye sunte mera ji dahalne laga hai
meri jaan jald 'azfari' pas aa ja
ki ji us ka tujh bin nikalne laga hai
ki fawwara khun ka uchhalne laga hai
duba dil ka ghar aankh tak aan pahuncha
ab aansu ka nala ubalne laga hai
ye seb aanb shaftalu narangi kamarkha
tere bagh ka mewa palne laga hai
tumhaari miyan dekh ye phal phulari
mera tifl-e-dil to machalne laga hai
khajuren samose tale kuchh dila do
aji! ji mera un pe chalne laga hai
abhi aae kahte ho jata hun lo ji
ye sunte mera ji dahalne laga hai
meri jaan jald 'azfari' pas aa ja
ki ji us ka tujh bin nikalne laga hai
11757 viewsghazal • English