nam likha liya to phir karte ho hae hae kyon
By kaif-ahmed-siddiquiNovember 3, 2020
nam likha liya to phir karte ho hae hae kyon
padhna na tha tumhein agar darje mein padhne aae kyon
kyunkar hum imtihan den soenge ja ke bagh mein
padhne ko aadhi raat tak koi hamein jagae kyon
baithe hain apni seat par kaise bhagaen master
aae hain de ke fees hum koi hamein bhagae kyon
chikhenge khub hum yahan chahe khafa hon mehman
nafrat ho jis ko shor se ghar mein hamare aae kyon
koi padosi tang ho chahe kisi se jang ho
ghar hai ye apne bap ka koi hamein chupae kyon
kana khuda ne kar diya is mein hai apni kya khata
gali bakenge khub hum koi hamein chidae kyon
dekho to pet ban gaya aakhir ghubara gas ka
khate ho itna gosht kyon pite ho itni chae kyon
sathi hon ya asatiza aae kisi ko kya maza
darje mein koi be-mahal 'kaif' ki ghazlen gae kyon

89538 viewsghazal • English