nam likhna hai to likhna mera diwanon mein
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
nam likhna hai to likhna mera diwanon mein
mere milne ka pata puchhna viranon mein
le gaya jazba-e-ulfat jo bayabanon mein
saf sunta hun sada yar ki ab kanon mein
parsa koi hai darwesh-o-farishta koi
main hi ek rah gaya insan sa insanon mein
dair-o-ka'ba mein to milti hai mujhe nakaami
kaamyab hota hun chahat ke sanam-khanon mein
aaj har koi meri baat pe hansta hai magar
nam kal aaega mera bhi sukhan-danon mein
tum mujhe ek nazar pyar se dekho 'saqi'
phir nai jaan si aa jaegi armanon mein

66255 viewsghazal • English