nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich lafz ruk jate hain aa kar meri guftar ke bich ek hi chehra kitabi nazar aata hai hamein kabhi ashaar ke bahar kabhi ashaar ke bich ek dil tuta magar kitni naqaben paltin jit ke pahlu nikal aae kai haar ke bich koi mahfil ho nazar us ki hamin par thahri kabhi apnon mein sataya kabhi aghyar ke bich aise zahid ki qayaadat mein to tauba tauba kabhi iman ki baaten kabhi kuffar ke bich kabhi tahzib-o-tamaddun ka ye markaz tha miyan tum ko basti jo nazar aati hai aasar ke bich jis tarah tat ka paiwand ho makhmal mein 'adil' maghribi chaal-chalan mashriqi aqdar ke bich