namus-e-dosti ka shanasa nahin koi wo daur hai ki apna bhi apna nahin koi chehre pe chehra zahir-o-baatin mein bhi tazad ek saya sab ke sath hai tanha nahin koi raste bikhar rahe hain ki waqt-e-zawal hai pahle ki tarah tut ke milta nahin koi parde se bahar aa ke saron ka shumar kar ye sab mere aziz hain tera nahin koi tarikiyon ko chir ke aati hai subh-e-nau suraj ki raushni pe to pahra nahin koi parchhaiyon ka raqs to rahta hai aas-pas is ke siwa nazar mein sarapa nahin koi