nanhe hathon mein kaTora nahin dekha jata
By rizwan-aliFebruary 28, 2024
nanhe hathon mein katora nahin dekha jata
hum se ghurbat ye tamasha nahin dekha jata
hakim-e-waqt bata kaise guzaren shab-o-roz
har taraf khauf ka pahra nahin dekha jata
doston haq ke liye ho ke ana ki khatir
jang mein apna paraya nahin dekha jata
is liye 'ilm ki sham'on ko jalate hain hum
shahr ka hum se andhera nahin dekha jata
kabhi ek dubne wale ki suni thin chikhen
hum se ab jaanib-e-dariya nahin dekha jata
yak-ba-yak jaise badal jata hai mausam 'rizwan'
is tarah us ka badalna nahin dekha jata

15699 viewsghazal • English