naqab-e-husn-e-do-alam uThai jati hai

By jigar-moradabadiNovember 2, 2020
naqab-e-husn-e-do-alam uthai jati hai
mujhi ko meri tajalli dikhai jati hai
qadam qadam meri himmat badhai jati hai
nafas nafas teri aahat si pai jati hai


wo ek nazar jo ba-mushkil uthai jati hai
wahi nazar rag-o-pai mein samai jati hai
sukun hai maut yahan zauq-e-justuju ke liye
ye tishnagi wo nahin jo bujhai jati hai


khuda wo dard-e-mohabbat har ek ko bakhshe
ki jis mein ruh ki taskin bhi pai jati hai
wo mai-kada hai teri anjuman khuda rakkhe
jahan khayal se pahle pilai jati hai


tere huzur ye kya wardat-e-qalb hai aaj
ki jaise chand pe badli si chhai jati hai
tujhe khabar ho to itni na fursat-e-gham de
ki teri yaad bhi aksar satai jati hai


wo chiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhon mein pai jati hai
qarib manzil-e-akhir hai al-firaq 'jigar'
safar tamam hua nind aai jati hai


86075 viewsghazalEnglish