nashad tha nashad hai malum nahin kyon

By abdul-majeed-dard-bhopaliApril 24, 2024
nashad tha nashad hai ma'lum nahin kyon
dil 'ishq mein barbaad hai ma'lum nahin kyon
dekha tha kabhi khwab-e-hasin main ne bhi ai dost
itna to mujhe yaad hai ma'lum nahin kyon


baqi hai abhi tul-e-shab-e-hijr ka 'alam
dil sham se nashad hai ma'lum nahin kyon
barbaad hua jis ke taghaful se mera dil
dil mein wahi aabaad hai ma'lum nahin kyon


har chand ki dil kushta-e-bedad hai lekin
nala hai na fariyaad hai ma'lum nahin kyon
jo sab ke liye lutf-o-'inayat ka hai paikar
mere liye jallad hai ma'lum nahin kyon


main bhi kahin aabaad tha ye yaad nahin hai
mujh mein koi aabaad hai ma'lum nahin kyon
ai 'dard' qafas mein bahut aaram hai lekin
gulshan ki faza yaad hai ma'lum nahin kyon


99661 viewsghazalEnglish