nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai

nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai
sharik-e-bazm nahin hain to kya tumhein gham hai

khudi ka zor hai ehsas-e-bandagi kam hai
ek inqalab se barham nizam-e-alam hai

hayat wajib-o-mumkin ka rabt-e-baham hai
hamare dil ki tadap hasil-e-do-alam hai

fareb jab se mohabbat pe ho gaya ghaalib
ek iztirab hai bechain ruh-e-alam hai

natija aish-e-musalsal ka shauq-e-mamnuat
ajab nahin ki ye miras-e-ibn-e-adam hai

shajar nihaal hain khandan hain gul khilin kaliyan
chaman mein jaan-e-tamanna ka khair-maqdam hai

ye har ghadi ki pareshan-khayaliyan 'agha'
tafakkuraat-e-zamana se nak mein dam hai

chhupa saka na mohabbat ke raaz ko 'agha'
hazar zabt kiya phir bhi aankh pur-nam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close