nashsha-e-mai ke siwa kitne nashe aur bhi hain

nashsha-e-mai ke siwa kitne nashe aur bhi hain
kuchh bahane mere jine ke liye aur bhi hain

thandi thandi si magar gham se hai bharpur hawa
kai baadal meri aankhon se pare aur bhi hain

ishq-e-ruswa tere har dagh-e-farozan ki qasam
mere sine mein kai zakhm hare aur bhi hain

zindagi aaj talak jaise guzari hai na puchh
zindagi hai to abhi kitne maze aur bhi hain

hijr to hijr tha ab dekhiye kya bitegi
us ki qurbat mein kai dard nae aur bhi hain

raat to khair kisi tarah se kat jaegi
raat ke baad kai kos kade aur bhi hain

gham-e-dauran mere bazu-e-shikasta se na khel
mashghale meri jawani ke liye aur bhi hain

wadi-e-gham mein mujhe der tak aawaz na de
wadi-e-gham ke siwa mere patte aur bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close