nashsha kuchh aisa tha ki samajh mein na aai baat

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
nashsha kuchh aisa tha ki samajh mein na aai baat
jab ek roz bazm mein us ne uthai baat
ye kaenat warna kabhi ki tamam thi
do chaar log the ki jinhon ne banai baat


ek baat thi jo main ne kahi thi ba-sad-niyaz
lekin ye meri baat mein kis ne milai baat
duniya jahan ka zikr kiya raat-bhar magar
ek dusre se donon ne dil ki chhupai baat


ye sara bagh us ke rawayye se tang hai
us gul hi ne badhai hai jab bhi badhai baat
main ne kaha ziyaada hai mujh ko dimagh kuchh
us ne chaman mein ja ke saba se lagai baat


chahe 'jamal' dusre hi ki zamin ho
hum ne to jab sunai hai apni sunai baat
42276 viewsghazalEnglish