naubat-e-giriya o be-tabi-o-zari aai bade hangame se kal yaad tumhaari aai naza mein bhi wo yahan tak nahin aane deta ai khuda ghair ko aa jae hamari aai un ko tashbih masiha se jo di wo bole aaj malum hua maut tumhaari aai kis taraf aae kidhar bhul pade khair to hai aaj kya tha jo tumhein yaad hamari aai nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar ab jigar tham ke baitho meri bai aai