nawa-e-dil ne karishme dikhae hain kya kya meri azan ne namazi jagae hain kya kya jamal-e-yar teri aab-o-tab kya kahiye nazar nazar pe qadam dagmagae hain kya kya ada-e-naz ko andaz-e-dilbari samjhe fareb ahl-e-mohabbat ne khae hain kya kya zamin zamin na rahi aur falak falak na raha maqam-o-waqt bhi gardish mein aae hain kya kya wo teri shokh-nigahi wo teri khanda-labi dil-e-gharib pe charke lagae hain kya kya kabhi khulus-e-mohabbat kabhi gurez-o-farar bana bana ke muqaddar mitae hain kya kya kabhi to dekh ki meri tabah-haali par hayat-o-maut ne aansu bahae hain kya kya hai aaj khun-e-tamanna to kal ummid ki maut dil-e-hazin ne janaze uthae hain kya kya nigah-e-'qais' teri dastaras ko man gae kahan kahan se mazamin churae hain kya kya