nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai khirad ka pas bhi khwabon ka karobar bhi hai hazar bar bahaaron ne dukh diya mujh ko na jaane kya kya hai bahaaron ka intizar bhi hai jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai mere lahu mein ab itna bhi rang kya hota taraaz-e-shauq mein aks-e-rukh-e-nigar bhi hai mere safine ko sahil ki justuju hi nahin sitam ye hai kisi tufan ka intizar bhi hai chaman hi ek nahin aaina meri masti ka gawah josh-e-junun ki zaban-e-khar bhi hai ghurur-e-ishq ghurur-e-wafa ghurur-e-nazar 'surur' tere gunahon ka kuchh shumar bhi hai