nawa hai ham-nawa koi nahin hai magar meri khata koi nahin hai kaha ithla ke us ne aaiye na yahan mere siwa koi nahin hai hasinon ne banai hai wo durgat mujhe pahchanta koi nahin hai lage hain kaam se line mein sare kisi ko dekhta koi nahin hai dabana shart hai bajte hain sare khilauna be-sada koi nahin hai har ek munh tak raha hai dusre ka kisi se bolta koi nahin hai yahan jitne hain apne bap ke hain tumhaare bap ka koi nahin hai liye ghumat hai bulbul tont mein gul use ab puchhta koi nahin hai