naya parinda qafas se bahar bana raha hun

By abbas-tabishDecember 25, 2020
naya parinda qafas se bahar bana raha hun
main apni marzi ka pesh-manzar bana raha hun
mujhe bhi auron ki tarah kaghaz mila hai lekin
mein is se naw nahin samundar bana raha hun


yahan se hijrat ke baad bhi main yahin rahunga
naya makan apne ghar ke andar bana raha hun
ajab khamoshi hai jhil ke thahre paniyon mein
mein is khamoshi se ek patthar bana raha hun


ye ghar to saj jaega parinda hanut kar ke
magar main apni misal kyunkar bana raha hun
aur ab udasi ki satr-poshi ka marhala hai
thakan ke dhagon se ek chadar bana raha hun


bahut hi viraniyan hain ghurfe ki jaliyon mein
main in ki khatir naya kabutar bana raha hun
30169 viewsghazalEnglish