nazar azabon mein ghir gai hai sukhan sarabon mein aa gaya hai suna hai ab ke bahaar-mausam khizan ki baaton mein aa gaya hai ye kya ghazab hai ki jis ne ahd-e-bahaar chaha na ishq dekha nizam-e-hijr-o-visal sara usi ke hathon mein aa gaya hai bahaar to ek mughaalta hai khizan ki ru-posh hairaton ka jo is tilism-e-jahan se guzra wo dastanon mein aa gaya hai wo jis ke daman mein shaeri thi bahaar-lahje ki lut-luta kar ai rabb-e-lafz-o-bayan wo shaer teri panahon mein aa gaya hai bahaar kya ab khizan bhi dekhe ghurur-e-husn-e-sukhanwari mein jo aasmanon mein ja basa tha zamin ke qadmon mein aa gaya hai bahaar-rut mein bichhad ke tujh se jo dil pe guzri wo dil hi jaane hamein to itna pata hai yaro lahu tak aankhon mein aa gaya hai